Choose your language
Retail store, wholesaler aur online seller ke liye: garment, footwear, cosmetics, electronics, accessories
Billing, stock, barcode label, TallyPrime, WhatsApp, courier, Instagram aur website. Supplier ka bill scan karo, margin % daalo, baaki kaam app khud karta hai. Aapki dukaan ke naam aur logo ke saath.
Camera · barcode scan₹1,797
Poori kahani, 90 second mein
Kiske liye
Har raaste ka order, ek hi jagah
Customer kahin se bhi aaye, order usi panel pe aata hai, wahi stock ghat-ta hai aur bill usi tarah banta hai. 100% kaam isi app mein, na doosra software, na doosra register.
Chaar raaste, panel ek hi. Doosra software nahi chahiye.
"Price pls?" → link bheja
"Yeh wala chahiye" → order bana
Order #1042 → panel pe
3 scan → bill tayyar

Pehle aur ab
Baayein, aaj ka maalik: bahi khata, Excel, GST, Instagram, WhatsApp, order, RTO ka nuksaan aur customer, sab ek saath. Daayein, har ek ka jawaab app mein, usi jagah pe.
Daayein wali taraf dekho: yeh sab ek hi app sambhalta hai.
Tasveer pe kahin bhi ungli rakh ke poora baayein ya daayein khiskao.
Asli app, screen dar screen
Yeh asli chalte app ki screens hain, demo maal ke saath. Upar HK Sales ka logo hai, jis dukaan mein yeh aaj chalta hai. Aapke app pe aapka logo hoga.




Asli app




Jhanjhat gaya, app aaya
Sabse bada time bachane wala kaam
Ab khud karke dekho
Maal aate hi bill ki photo lo. App items padh leta hai. Aap do margin daalte ho, ek retail ka aur ek B2B ka, aur app dono price laga deta hai, barcode label chhaapta hai, stock badhata hai aur TallyPrime mein purchase entry bhejta hai. Retail mein becho ya wholesale mein, bill pe sahi rate apne aap aata hai. Neeche margin khud badal ke dekho.
Accountant ke ghante bachte hain. Purchase entry seedha TallyPrime mein.
Item, piece, rate, GST, HSN sab apne aap. Haath se kuch type nahi karna.
Yeh demo ke example item hain. Selling price ₹5 pe round hota hai.
Instagram + website + WhatsApp ready
Jo maal counter pe hai, wahi stock Instagram, website aur WhatsApp pe bikta hai. Alag software, alag entry, alag stock ki zaroorat nahi.
Dukaan mein li photo




Online order, bina tension
Website ho ya na ho. Customer ko link bhejo, paisa seedha aapke QR pe aata hai, aur parcel ka har kadam record hota hai. Isi se RTO, weight ke jhagde aur "parcel kahan hai" wale message kam hote hain.
Har kadam pe customer ko message apne aap jaata hai.
Phone pe tap karo ya "Agla kadam" dabao
Packing video ka sample
App se record karo to tareekh, samay, order number, customer, courier aur AWB har frame pe jal jaate hain. Baad mein koi badal nahi sakta, isliye yeh video courier ke claim ya customer ke jhagde mein tikta hai.
Courier companies ko claim mein bilkul aisa hi proof chahiye hota hai. App mein yeh inbuilt hai.
Packing asli hai, ek demo order ki. Is page pe chhaap live ghadi aur demo naam, AWB ke saath chal rahi hai; app mein yahi chhaap video ke andar hi jal jaati hai. Rokne ke liye video pe tap karo.
Jab parcel mein gadbad ho
Courier se claim saboot pe jeeta jaata hai. App roz ke kaam ke saath hi har parcel ke teen saboot jama karta jaata hai, to jab courier company se ladna pade, file pehle se tayyar hoti hai.
Kisi PIN code pe kisi courier ke saath ek baar scam likh diya, to app yaad rakhta hai. Us PIN pe agla parcel book karte waqt us courier ke card pe ginti dikhti hai, taaki aap us shipment ke liye doosra courier chun sako. Faisla aapka hi rehta hai.
Kadam 1, 2, 3 aur 5 asli app ki screens hain, demo order ke saath. Kadam 4 courier ki kaagaz wali POD hai, isliye woh banayi hui hai.
Ek din, shuru se aakhir tak
Supplier bill ya packing slip ki photo. Item, rate aur GST app padh leta hai. TallyPrime mein entry apne aap jaati hai, aur item naya ho to TallyPrime mein khud ban jaata hai.
Har piece pe barcode label, jo phone ke camera se bhi padha jaata hai aur kisi bhi barcode scanner se bhi. Lehenga jaise set pe har hisse ka alag label, number ek hi.
Dukaan ka naksha app mein. Kaunsa design kis rack mein hai, kitne piece bache hain.
Barcode label scan hote hi GST bill. Phone bhi scanner ban jaata hai. Retail aur wholesale dono.
Packing ka video saboot ke liye, sabse sasta courier, saare label ek PDF mein.
Bill WhatsApp pe, entry TallyPrime mein, COD ka paisa courier-wise track.
Features
AI aapka munim
Demo ke liye nahi bana. Roz chalti dukaan ka app hai.
Poori list
Aapka brand, aapka data
Staff aur customer ko aapka logo, aapka naam aur aapka web address dikhta hai, aapki pasand ke colour theme mein. Bill, barcode label, catalogue link, sab aapke brand mein.
Jald aa raha hai
Shirt, jeans, kurti, kidswear, joote, chappal. System wahi hai: har design ke har colour ke saath uske size, har size ka alag stock aur alag barcode, bill pe size ke saath.
Jald aa raha hai
Kaunsa maal kab se nahi bika, app khud bata dega, design aur colour ke hisaab se. Aap time pe offer laga ke maal nikaal do aur paisa khula karo.
Jald aa raha hai
Kaunsa design achanak tezi se bik raha hai, counter pe aur online, app pakad lega. Maal khatam hone se pehle aur mangwa lo.
Custom app
Business mein koi bhi problem ho: hisaab, karigar, godown, staff ya kuch aur. Ek call book karo, problem discuss karo, aur uska solution aapke tareeke se banke milega.
Neeche chhota sa form bharo. Aapke time pe hum call karte hain.
Aaj kaam kaise hota hai, aur kahan atakta hai.
Pehle plan dikhate hain, aapki haan ke baad banate hain.
Aapki dukaan ke naam se, aapke phone pe.
Ye sirf misaal hain. Aapki problem bilkul alag ho sakti hai.
FAQ
15 minute ka demo. Apna ek supplier bill saath rakho, usi pe barcode label aur TallyPrime entry bana ke dikhayenge.
Bas teen cheezein aur ek tap. Baaki baat demo ki call pe.
15 minute mein poora app apni aankhon se dekh lo.
WhatsApp: +91 97610 11121