Retail store, wholesaler aur online seller ke liye: garment, footwear, cosmetics, electronics, accessories

Offline dukaan se fully digital. Ek hi app se.

Billing, stock, barcode label, TallyPrime, WhatsApp, courier, Instagram aur website. Supplier ka bill scan karo, margin % daalo, baaki kaam app khud karta hai. Aapki dukaan ke naam aur logo ke saath.

Aapka brand, aapke colourData cloud mein safeRoz auto backupPhone, tablet, computer sab pe
GST billWhatsApp
AAPKE APNE BRAND KA APP
Naya billR-26/27-124
Camera · barcode scan
GST 5% (shaamil)₹0
0PIECEGrand total₹0Bill banao

Customer

Naam
Mobile number
Aage: payment

Payment kaise mila?

₹1,797

CashUPIQR khulega
Scan karke pay karein₹1,797Aapki Dukaan · aapkidukaan@upiPhonePe, GPay, Paytm ya kisi bhi UPI app se
←✓ Paisa aa gaya
✓

Bill ban gaya

R-26/27-124 · 3 piece · ₹1,797Anita Sharma · 90000 00001 · UPI ✓ Kurti Rayon Print₹649Shirt Cotton Check₹799Dupatta Chiffon₹349Total (GST shaamil)₹1,797 Bill WhatsApp pe chala gaya ✓TallyPrime mein entry ho gayi Bill print karo ExchangeFinishingBill badloNaya bill

Kiske liye

Retail, wholesale ya online: har tarah ke business ke liye.

Garment aur saree ki dukaanCounter ki billing, barcode label, rack aur TallyPrime. Har design aur colour ka hisaab.
Fashion boutiqueHar design ke thode piece, isliye har piece ka hisaab zaroori. AI model photos, client ke liye catalogue link, aur finishing ya alteration ka piece-wise tracking.
Apparel brandApne naam se becho: aapke brand ka app, Shopify pe aapki website, apne QR pe order, har order ka packing video aur WhatsApp update.
WholesalerWholesale rate pe B2B bill, challan, receipt, credit aur debit note, aur har vyapaari ka statement.
FootwearJoote-chappal article aur colour ke hisaab se, har jodi pe apna barcode label. Har colour ke saath size, add-on mein aa raha hai.
CosmeticsSau-sau chhote item, har ek pe barcode label. Scan karke bill, har shade aur pack ka live stock.
ElectronicsSupplier ka bill ek photo mein stock ban jaata hai, har item pe sahi GST, aur har bikri TallyPrime mein.
AccessoriesBag, belt, jewellery, ghadi: bahut saare chhote design, har ek pe label, ginti aur rack ke nakshe mein jagah.
Retail storeScan se tez counter billing, ek tap mein exchange, salesman ka commission, aur bill customer ke WhatsApp pe.
Online sellerInstagram, WhatsApp, Shopify ya sirf order link. Sabse sasta courier, 1 click mein label, packing video ka saboot aur RTO se bachaav.

Har raaste ka order, ek hi jagah

Instagram, WhatsApp, apni website ya counter: sab ek hi app se.

Customer kahin se bhi aaye, order usi panel pe aata hai, wahi stock ghat-ta hai aur bill usi tarah banta hai. 100% kaam isi app mein, na doosra software, na doosra register.

InstagramPost AI banata hai. DM pe aaye order ko pay link."Price pls?" → link bheja
WhatsAppCatalogue link bhejo. Design chuna, pay kiya."Yeh wala chahiye" → order bana
Apni websiteShopify ka order apne aap app mein.Order #1042 → panel pe
Walk-in customerCounter pe barcode label scan.3 scan → bill tayyar
App home screen
100% isi ek app mein
✓GST bill bana
✓Ek hi stock ghata, live
✓TallyPrime mein entry
✓Label aur courier 1 click mein
✓Packing video ka saboot
✓Customer ko WhatsApp pe update

Pehle aur ab

Wahi dukaan. Line khiska ke dekho.

Baayein, aaj ka maalik: bahi khata, Excel, GST, Instagram, WhatsApp, order, RTO ka nuksaan aur customer, sab ek saath. Daayein, har ek ka jawaab app mein, usi jagah pe.

Tasveer pe kahin bhi ungli rakh ke poora baayein ya daayein khiskao.

Asli app, screen dar screen

Yeh asli chalte app ki screens hain, demo maal ke saath. Upar HK Sales ka logo hai, jis dukaan mein yeh aaj chalta hai. Aapke app pe aapka logo hoga.

Home screenBilling screenBarcode label print previewStock list

Asli app

Yeh mockup nahi, chalta hua app hai.

Home screen
HomeHar kaam ek tap pe.
Billing screen
BillingTeen barcode label scan, ₹1,947 ka bill tayyar.
Barcode label print preview
Barcode label printJitne chahiye utne barcode label, ek saath.
Stock list
StockHar design aur colour ke bache piece.

Jhanjhat gaya, app aaya

Roz ke das sirdard, dason ka ilaaj.

Sabse bada time bachane wala kaam

Ab khud karke dekho

Supplier ka bill scan karo. Retail aur B2B ka margin daalo. Ho gaya.

Maal aate hi bill ki photo lo. App items padh leta hai. Aap do margin daalte ho, ek retail ka aur ek B2B ka, aur app dono price laga deta hai, barcode label chhaapta hai, stock badhata hai aur TallyPrime mein purchase entry bhejta hai. Retail mein becho ya wholesale mein, bill pe sahi rate apne aap aata hai. Neeche margin khud badal ke dekho.

1 · Bill ki photo

AI bill padhta hai

KURTI RAYON PRINT ×12320
LEHENGA SET L.349 ×33,495
SHIRT COTTON CHECK ×10410
GST 5%✓

Item, piece, rate, GST, HSN sab apne aap. Haath se kuch type nahi karna.

2 · Aapke margin

Bas do number

Retail
40%
B2B / wholesale
15%
Kharid
Retail bikri
B2B bikri
Piece
3 · Sab tayyar

Barcode label, stock, TallyPrime

25 barcode label print pe gaye
Stock mein 25 piece jud gaye
TallyPrime mein purchase entry chali gayi
Retail bill pe barcode label ka price, B2B bill pe wholesale rate

Yeh demo ke example item hain. Selling price ₹5 pe round hota hai.

Instagram + website + WhatsApp ready

Dukaan offline hai? Ek app se online bhi ho jao.

Jo maal counter pe hai, wahi stock Instagram, website aur WhatsApp pe bikta hai. Alag software, alag entry, alag stock ki zaroorat nahi.

Dukaan mein li photo
AI ➜
aapkidukaan
♡ 💬 ➤
aapkidukaan Chiffon gota patti saree, ₹775. COD available. WhatsApp pe order karo. #saree #gotapatti

Instagram ready

  • Kapde ki photo se model photo. Model, mannequin, table aur closeup shot AI banata hai.
  • Caption AI likhta hai. Dukaan ka address, WhatsApp, COD line apne aap judti hai.
  • Photoshoot ka kharcha aur intezaar khatam.
🔒 aapkidukaan.com
Jaipuri Chiffon Tie-Dye Saree₹499
Add to cart
Shopify pe live · stock sync

Website ready

  • Barcode label se seedha Shopify listing. Naam, description, price, colour, sab bhara hua.
  • Ek hi live stock. Counter pe bika to website se bhi kam.
  • Collections app se banao, website pe apne aap dikhe.
Chiffon Lehariya Saree · 4 colour₹600
WhatsApp pe maango

WhatsApp pe bikri

  • Catalogue link. Customer saare colour swipe karke dekhta hai.
  • Order link + UPI. Customer pata bharta hai, UPI se pay karta hai.
  • Bill WhatsApp pe apne aap jaata hai.

Online order, bina tension

Order aane se delivery tak, har kadam pe saboot.

Website ho ya na ho. Customer ko link bhejo, paisa seedha aapke QR pe aata hai, aur parcel ka har kadam record hota hai. Isi se RTO, weight ke jhagde aur "parcel kahan hai" wale message kam hote hain.

Scroll karo ya phone pe tap karo, agla kadam khulega

    Isse RTO kaise kam hota hai

      Packing video ka sample

      Saboot video ke upar hi chhap jaata hai.

      App se record karo to tareekh, samay, order number, customer, courier aur AWB har frame pe jal jaate hain. Baad mein koi badal nahi sakta, isliye yeh video courier ke claim ya customer ke jhagde mein tikta hai.

      REC AAPKI DUKAAN PACKING AP-26/27-01 · Anita SharmaDemo Express · AWB 77410092318 123
      1. 1Tareekh aur samay, har frame peCCTV camera jaisi chalti ghadi. Parcel kab pack hua, is pe bahas hi nahi.
      2. 2REC aur aapki dukaan ka naamDikhta hai ki video aapke app mein hi seedha record hua, kahin aur se kaat-chhaant ke nahi aaya.
      3. 3Order, customer, courier aur AWBNeeche ki patti video ko ek hi parcel se jodti hai. Aakhir mein dikhaye label se milaan ho jaata hai.
      Awaaz nahi, sirf tasveerKhada ya leta, dono10 minute takGallery ka video bhi upload, wahi chhaap lagti haiCloud mein save, jab tak aap chahoCustomer ko WhatsApp pe jaata hai

      Yeh is page ke liye banaya sample hai, ek product ki photo ke upar. Chhaap waise hi lagi hai jaise app lagata hai.

      Jab parcel mein gadbad ho

      Parcel scam mein phansa ya wapas aa raha hai? Aapka paisa surakshit hai.

      Courier se claim saboot pe jeeta jaata hai. App roz ke kaam ke saath hi har parcel ke teen saboot jama karta jaata hai, to jab courier company se ladna pade, file pehle se tayyar hoti hai.

        99%

        Agli baar app pehle hi chetavni deta hai.

        Kisi PIN code pe kisi courier ke saath ek baar scam likh diya, to app yaad rakhta hai. Us PIN pe agla parcel book karte waqt us courier ke card pe ginti dikhti hai, taaki aap us shipment ke liye doosra courier chun sako. Faisla aapka hi rehta hai.

        Kadam 1, 2, 3 aur 5 asli app ki screens hain, demo order ke saath. Kadam 4 courier ki kaagaz wali POD hai, isliye woh banayi hui hai.

        Ek din, shuru se aakhir tak

        Maal aane se paisa aane tak, sab ek jagah.

        1. 1

          Maal aaya

          Supplier bill ya packing slip ki photo. Item, rate aur GST app padh leta hai. TallyPrime mein entry apne aap jaati hai, aur item naya ho to TallyPrime mein khud ban jaata hai.

        2. 2

          Barcode label chhap gaye

          Har piece pe barcode label, jo phone ke camera se bhi padha jaata hai aur kisi bhi barcode scanner se bhi. Lehenga jaise set pe har hisse ka alag label, number ek hi.

        3. 3

          Rack mein rakha

          Dukaan ka naksha app mein. Kaunsa design kis rack mein hai, kitne piece bache hain.

        4. 4

          Scan karo, bill bano

          Barcode label scan hote hi GST bill. Phone bhi scanner ban jaata hai. Retail aur wholesale dono.

        5. 5

          Pack karo, bhejo

          Packing ka video saboot ke liye, sabse sasta courier, saare label ek PDF mein.

        6. 6

          Hisaab apne aap

          Bill WhatsApp pe, entry TallyPrime mein, COD ka paisa courier-wise track.

        Features

        Jo kaam 6 software karte hain, yahan ek mein.

        AI aapka munim

        Photo lo. Padhna, likhna, jodna AI ka kaam.

        Supplier bill padhnaSupplier ka naam, pata, GSTIN, saath mein har item, ginti aur GST. Sab details TallyPrime mein apne aap bhar jaati hain.
        Haath ki bill book TallyPrime meinBas bill book ke panno ki photo lo. Bill TallyPrime mein chadh jaate hain, aur har guna aur jod dobara check hota hai.
        Cheque padhnaVyapaari ke cheque ki photo se receipt: party, rakam, bank aur tareekh.
        Model photosKapde ki ek photo se model, mannequin, table aur closeup shot, catalogue ke liye tayyar.
        Caption jo bikri laayeReel kis baare mein hai, bas itna likho. AI teen caption deta hai hashtag ke saath, aur dukaan ka address, WhatsApp aur COD ki line khud jodta hai.
        Website ki listing, likhi-likhayiPhoto aur barcode label se AI product ka naam, description, kapde aur colour ki details likh deta hai. Aap dekh lo, aur live.
        1scan mein bill ki line. Naam ya rate type nahi karna.
        0dobara entry. TallyPrime, website aur stock ek hi baar mein.
        650+sudhaar ab tak, asli chalti dukaan ke counter pe bane.
        1live stock. Dukaan, website aur WhatsApp sab ka.

        Poori list

        Har feature, ek jagah.

        Jo chahiye woh list mein nahi hai?

        Aapka brand, aapka data

        App pe naam aapki dukaan ka.

        Staff aur customer ko aapka logo, aapka naam aur aapka web address dikhta hai, aapki pasand ke colour theme mein. Bill, barcode label, catalogue link, sab aapke brand mein.

        Data cloud mein safeGoogle Cloud pe, India ke server par. Phone kho jaye ya computer kharab ho, data wahin hai.
        Roz auto backupBackup apne aap. Galti se delete hua item wapas laaya ja sakta hai.
        Staff ke alag haqKaun price dekhe, kaun bill banaye, kaun hisaab dekhe, malik tay karta hai.
        Install ka jhanjhat nahiPhone, tablet, computer, kisi pe bhi browser se chalta hai.

        Jald aa raha hai

        Size add-on: readymade aur joote-chappal ke liye

        Shirt, jeans, kurti, kidswear, joote, chappal. System wahi hai: har design ke har colour ke saath uske size, har size ka alag stock aur alag barcode, bill pe size ke saath.

        Jald aa raha hai

        Deadstock finder

        Kaunsa maal kab se nahi bika, app khud bata dega, design aur colour ke hisaab se. Aap time pe offer laga ke maal nikaal do aur paisa khula karo.

        Jald aa raha hai

        Viral product trend

        Kaunsa design achanak tezi se bik raha hai, counter pe aur online, app pakad lega. Maal khatam hone se pehle aur mangwa lo.

        FAQ

        Dukaandaar jo sawaal poochte hain

        Apni dukaan pe chalta hua dekho.

        15 minute ka demo. Apna ek supplier bill saath rakho, usi pe barcode label aur TallyPrime entry bana ke dikhayenge.

        Bas teen cheezein aur ek tap. Baaki baat demo ki call pe.

        Aapka kaam
        Submit karte hi WhatsApp khulega, aapki details bhari hui. Bas send dabana hai.

        WhatsApp: +91 97610 11121